Kehna dil ki baat alfazo me zaaroori to nahi
Khamoshi bhi dil-e- ehsaas ba’ya karti hai
Na samjho agar tum jazbaat ko to meri kismat
Raat khamoshi se chand ka intezar karti hai
Kehna dil ki baat alfazo me zaaroori to nahi
Khamoshi bhi dil-e- ehsaas ba’ya karti hai
Har khwab sach ho mera ye zarrori to nahi
lehre honkar sehra me sahil ko talash karti hai
Kehna dil ki baat alfazo me zaaroori to nahi
Khamoshi bhi dil-e- ehsaas ba’ya karti hai
Meri wafa ka jawab wafa se mile zarrori to nahi
Khamosh nazar bhi bheegi palko se ikraar karti hai